Tuesday, November 10, 2009

Rehte hain saath saath main aur meri tanhai
Kartey hain raaz ki baat main aur meri tanhai
Din to guzar hi jata hai logon ki bheed me
Kartey hain basar raat main aur meri tanhai
Saanson ka kya bharosa kab chhod jaaye saath
Lekin rahenge saath main aur meri tanhai
Aaye na tumhe yaad kabhi bhul kar bhi hum
Kartey hain tumhe yaad main aur meri tanhai
Aa ke paas kyon door ho gaye hum se
Kartey hain teri talash main aur meri tanhai
Tum ko rakhenge saath zeenat bana ke ghar ki
Reh jaayein phir na tanha main aur meri tanhai.

No comments:

Post a Comment