Tuesday, November 10, 2009

Kiss Kiss ke Mehfil mein,
Kiss Kiss Ne Kiss Kiss ko,
Kiss Kiss tarah Kiss Kiya!
Ek Aap hai jisne har KISS ko MISS Kiya!
Aur Ek HUM jisne har MISS ko KISS Kiya!
Suna Hey Log Usey Aankh Bher Key Dekhtey Hain
To Us Key Shehr Main Kuch Din Theher Key Dekhtey Hain
Suna Hey Rabt Hey Us Ko Kharab Halon Sey
So Apney Aap Ko Barbad Ker Key Dekhtey Hain
Suna Hey Dard Ki Ghahk Hey Chasham Naz Us Ki
So Hum Bhi Us Ki Gali Sey Guzer Key Dekhtey Hain
Suna Hey Us Ko Bhi Hey Shair-O-Shairi Sey Shughaf
To Hum Bhi Mojzey Apney Huner Key Dekhtey Hain
Suna Hey Boley To Baton Sey Phool Jhertey Hain
Yeh Baat Hey To Chalo Baat Ker Key Dekhtey Hain
Suna Hey Raat Usey Chand Takta Rehta Hey
Sitarey Bam-Falak Sey Uter Key Dekhtey Hain
Suna Hey Din Ko Usey Titliyan Satati Hain
Suna Hey Raat Ko Jugnoo Theher Key Dekhtey Hain
Suna Hey Chasher Hain Us Ki Ghazal Si Aankhain
Suna Hey Us Ko Hiran Dasht Bher Key Dekhtey Hain
Suna Hey Raat Sey Berh Ker Hain Kaklain Us Ki
Suna Hey Shaam Ko Sye Guzer Key Dekhtey Hain
Suna Hey Us Ki Syah Chashmagi Qyamat Hey
So Us Ko Surma Farosh Aah Bher Key Dekhtey Hain
Suna Hey Us Key Labon Sey Gulaab Jaltey Hain
So Hum Bahar Peh Alzaam Dher Key Dekhtey Hain
Suna Hey Aaina Tamsal Hey Jabeen Us Ki
Jo Sada Dil Hain Usey Ban Sanwar Key Dekhtey Hain
Bas Ik Nigah Sey Lutta Hey Qafla Dil Ka
So Rah Rawan-E-Taman Bhi Dar Key Dekhtey Hain
Suna Hey Us Key Shabistan Sey Mutsil Hey Behshat
Maseeh Udher Key Bhi Jalwey Idher Key Dekhtey Hain
Rukey To Gardishain Us Ka Tawaf Kerti Hain
Chaley To Us Ko Zamaney Theher Key Dekhtey Hain
Kahaniyan Hi Sahi Sab Mughalbey Hi Sahi
Agar Who Khawab Hey To Tabeer Ker Key Dekhtey Hain
Ab Us Key Sheher Main Thehrey Keh Kooch Ker Jyen
Firaz Aao Sitarey Safar Key Dekhtey Hain
Uske khat aaj bhi rakhein hein kitabon mei kahin
wo mujhe aaj bhi mila jata hei khwabon mei kahin
naam likhta tha mera pyaar se in shaakhon pe
ret pe, phoolon pe, har koochon mei deewaron pe
uski chahat ke nishaa hei inhi raahon mei kahin
chandni banke mujhe chhuuta hei raaton mei kabhi
banke mehendi meri rach jata hei haaton pe kabhi
uski khushboo to basi hei meri sanson mei kahin
aaye mausam koi uska ki khayal aata hei
wo mujhe yaad ki har mord pe mil jata hei
baat uski hi nikal aati hei baaton mei kahin
wo mujhe aaj bhi mil jaata hei khwabon mei kahin…
Har kisi ko samjhaana
mere bus ki baat nahin
ke zindagi se aakhir
kya chahti hoon mein?..

Keh sakti hoon tum se
yeh sab kyon ke
tumhi shayad samajh saktey ho
samajhna chahte’ ho?..

Kitna kuch sun kar
bus meri aankhon mein dekh kar
kitna kuch samjhaa jaatey’ ho tum?..

Mujhey samajhna
kitna mushkil hai tumhare’ liye
fir bhi mujhey chahna
kitna aasaan?..

Shayad isilie
itna bada dill hai tumhara
Shayad isilie tum
ban gaaey’ ho hamaree jaan..
Kal Raat Main
Tumray Baray Main Soch Rahee Thee
Ek Ansoo Mari Ankh Say Nikla
Jab Main Nay Us Say Pucha
Tm Ankh Say keon Nikaly
Hans Kar Anso Nay Kaha
Tumhari ankhoun main Koi Bohat He Payira Basta Hay
Aur Ab Shaid tumhri Ankhoun Main

Maray Laiy Koi Jaga Nahin Hay
Phir Wo Ansoo Dakhtay He Zamin
Par Gira Aur Gayiab Ho Gyia
-Ek aas…-Ek ehsas…-Meri soch…Or
-Bus TUM…!

-Ek sawaal…-Ek majaal…-Tumhara khayaal…Or
-Bus TUM…!

-Ek baat…-Ek sham…-Tumhara saath…Or
-Bus TUM…!

-Ek dua…-Ek faryaad,
-Tumhari yaad…Or
-Bus TUM…!

-Mera junoon…-Mera sukoon…-Bus TUM…Or
-Bus TUM..
Rehte hain saath saath main aur meri tanhai
Kartey hain raaz ki baat main aur meri tanhai
Din to guzar hi jata hai logon ki bheed me
Kartey hain basar raat main aur meri tanhai
Saanson ka kya bharosa kab chhod jaaye saath
Lekin rahenge saath main aur meri tanhai
Aaye na tumhe yaad kabhi bhul kar bhi hum
Kartey hain tumhe yaad main aur meri tanhai
Aa ke paas kyon door ho gaye hum se
Kartey hain teri talash main aur meri tanhai
Tum ko rakhenge saath zeenat bana ke ghar ki
Reh jaayein phir na tanha main aur meri tanhai.