Tuesday, November 10, 2009

Har kisi ko samjhaana
mere bus ki baat nahin
ke zindagi se aakhir
kya chahti hoon mein?..

Keh sakti hoon tum se
yeh sab kyon ke
tumhi shayad samajh saktey ho
samajhna chahte’ ho?..

Kitna kuch sun kar
bus meri aankhon mein dekh kar
kitna kuch samjhaa jaatey’ ho tum?..

Mujhey samajhna
kitna mushkil hai tumhare’ liye
fir bhi mujhey chahna
kitna aasaan?..

Shayad isilie
itna bada dill hai tumhara
Shayad isilie tum
ban gaaey’ ho hamaree jaan..

No comments:

Post a Comment