Sunday, October 11, 2009

SMS GUPSHUP
Mere Hathon Mein Tera Hath Ho,
Teri Baton Mein Meri Baat Ho,
Hum Yun Hi Chaltay Chaltya Kho Jayein,
Meri Sanson Mein Teri Sans Ho,
Aur Tanhai Apnay Paas Ho,
Sir Rakh K Tere Kandhay Pe So Jayein,
Main Jagun Tere Pyaar Mein,
Aur Jeetun Tujhko Har K,
Tum Rutho Toh Manaon Tume Gunguna K,
Sansein Tumse Ho Puri,
Tum Na Ho Toh Yeh Audhori,
Tum Hi Toh Mera Pyaar Ho,
Tumse KHiza Bahar Ho,
Ho Toh Chain Aye,
Na Ho Toh Ghum Hi Chaye,
Jaaneman Bolo Aur Tum Ko Kya Kahein,
Kya Sunayein,
Sab Yun Hi Chalta Jaye,
Hum Yun Hi Miltay Jayein,
Magar Aisa Tab Ho Na Jab.....
"Tum Yahan Ho"........!


"2 Ajnabi dosT"

Tuesday, October 6, 2009

Mila wo bhi nahi kerte, mila hum bhi nahi kerte
Bewafai wo bhi nahi kerte, bewafai hum bhi nahi kerte

UnhAin ruswai ka dukh hai, humain tanhai ka dukh hai
gila wo bhi nahi kerte, gila hum bhi nahi kerte

Gali k kisi morr pe akser takrao ho hi jata hai
ruka wo bhi nahi kerte, ruka hum bhi nahi kerte

Unhain jab dekhte hain sochte hain kuch kahain un se
suna wo bhi nahi kerte, kaha hum bhi nahi kerte

Humain wo dekhte hain, unhain hum dekhte hain
raha wo bhi nahi kerte, raha hum bhi nahi kerte.

Chirag Hum Ne Jala Kar Hawa Pe Chor Diya

Saza Pe Chor Diya Jaza Pe Chor Diya,
Har Ek Kaam Hum Ne Uperwale Pe Chor Diya,

Woh Hum Ko Yad Rahkta Ya Bhula Deta,
Usi Ka Kam Tha Usi Ki Marzi Pe Chor Diya,

Us Se Baat Bhi Karte To Kis Tarhan Karte,
Yeh Sawal Dua Ka Tha Dua Pe Chor Diya,

Iss Liye To Woh Kehte Hain Bewafa Hum Ko,
Ke Hum Ne Sara Zamana Wafa Pe Chor Diya,

Us Ki Marzi Bujha De Ya Phir Jala Rakhe,
Chirag Hum Ne Jala Kar Hawa Pe Chor Diya

Subah ki thandhak, subah ki kushbu
unke khayalaat diye ja rahi hai
Guzarta hua lamha hamari zindagi se
sab arzoo saat liye ja rahi hai
kamre ka soona pann, Raat ki kamoshi
koi jazbaat diye ja rahi hai
Maut ki dulhan ko gale lagane
ab zindagi baraat liye ja rahi hai

Aap nahi to hum aapki
parchhai se kar lenge pyar
Khushi na sahi to hum
kar lenge gum ka deedar
Par jane se pehle rab
hume dena ye uphaar
Ki humari aakhri khawish samajhkar
dena unka ghar sawaar

Ayegi wo suhani raat
meri arthi ke sath jayegi
Teri har baat
Jab uthe arti meri
To nazre jhuka lena
Jab main na rahu is duniya me
to Kisi aur se dil laga lena

Ae mohabbat tere anjam pe aaj rona aaya
Jaane kyun aaj tere naam pe rona aaya,
Yu to har sham umeedo main guzar jati thi
Aaj kuch baat hai jo sham pe rona aaya,
Kabhi takdeer ka matam kabhi duniya ka gila
Jab ho zikar zamane main muhabbat ka
Mujh ko apne pagal DIL-e-nadan par rona aaya


Kabhi mehrbaan tha to kabhi anjaan tha
Mera wehem tha ya wo mera gumaan tha
De kar zakham wo marham rakhta tha
Ban raha tha ya waqai itna nadaan tha
Mujhse bichar gaya tha wo ek raat
Wo shakhs jo meri pehchaan tha
Kaash k wo mil jata hum ko hamesha k lye
Kitna is dil ko is baat ka armaan tha
KHUDA ko chahte to kuch mil ß jata,
Humne chaha jis ko wo to ek INSAAN tha...

Uski dharkan se zindaGi ka
rishTa tha mera.
Wo zindaGi ka ek eham
hisa tha mera,
Ye mohaBat
us se
sirF laFzoo ki nahi..
Uski rooh se
rooh ka rishta tha mera!!

Bohat din ho gaye shayad !
Tera chehra nahi dekha.
Tumhare bin sabhi manzar.
Adhoore hain mere dil ke.
Meri Aankhon ne muddat se.
Koi sapna nahi dekha.
To aese main mere mohsin,
Faqat itni ghuzarish hai...
Agar kuch waqt mil jaye...,
Hamain bhi yaad kar lena,
Bohat din ho gaye shayad. !

Zindagi char din ki thi mgr hum anjan the
Aise logo p mar mite j0 bejan the
Rkhte rhe parda hum uski bewafai pr
Whi Qatil nikla jis pe hum meherban the

Muhbbt zkham dati hy kbhi marham nhi bnti,
Kisi ko agr tum chho use ye raz batlao,
K duniya me faqat is se muhbbt kr rahe ho tum,
To wo mebob si hasti bht magror si hasti,
Lamhe me sir uthye gi wo apne pr phelaye gi,
Tum jitna pas jao ge wo tum se door jye gi,
Tum us k naz uthao ge badle me aziyat pao ge,
Wo APna haq jtaye gi tumhe wo aazmaye gi,
Sada aanso rulaye gi akela chor gye gi.
Muhbbat jis se b kar lo hmesha gam hi dati hy,
MUHBBAT ZAKHM DATI HY.


jeena hai kya teri yaad me
marna nahin teri judai me
hum to shayad mar kar bhi rahe hai
warna hum kabhi rote nahin teri judai me
haan sach hai hum bhi roya karte hain
tanhaiyo me tujhe milne ko tadapte hain
mana bewafi kismat ne ki hai
par kya khata thi meri ki aaj bhi teri yaad me rote hain
na raha sath mere kuchh teri yaad ke siva
ab karein bhi kya is baat ke siva
zindagi bhar ke liye tumhe apna maan chuke hain
ab mangoo bhi khuda se kya tere pyar ke siva


Kyun teri yaad reh gayee iss dil mein
Jab tu hi na mil saki mujhe
Maine to chaaha tha dil-o-jaan se tujhe
Par tune kyun thukra diya mujhe
Zikr jab bhi tere naam ka hota hai
Teri yaad sataati hai mujhe
Aaj bhi dil mein hai tere pyaar ka dard
Nam aankhein yeh bataati hain mujhe
Gila to bus in aankhoan se hai
Kyun tera deedar kara gayee mujhe
Ik tees si dil mein uthti hai
Kyun tera khwaab dikha gayee mujhe

Khushk aankhon me kai bar jhalak jati hai
Khushi milte hi aankho se tapak jati hai
Ghamo ke daur me na pucho kabhi halat iski
khamoshion me bhi ye saaf nazar aati hai
Kabhi mehfil to kabhi tanhai me chhup ke
Kabhi chaman to kabhi baghon me ruk ke
Jab kabhi apno ki yaad sataati hai
Moti ban ke pal bhar me bikhar jati hai
Umar ka koi ta-alluk nahi darmiyan is ke
Kabhi mauka to kabhi dastur ye nibhati hai
Bagair iske to zindagi bhi adhuri hai shayad
Kabhi apne to kabhi gairo ka ehsas dilati hai
Khushk aankhon me kai bar jhalak jati hai
Kushi milte hi aankho se tapak jati hai

Na samajh saka mujhe koi ye badi ajeeb baat hai
Aye zindagi tu hi bata de kyun tu itni udass hai
Hawayein bhi rukh badal chuki wo bahar bhi jati rahi
Tha hujum me main bhi kabhi par ab nahi koi pass hai
Dard beshumar hai main chahu agar to kis se kahun
Jo qareeb tha wahi door hai jo door hai wahi khass hai
Ummidein bhi jati rahi ab to us ke aane ki
Wahi khawab hai wahi zindagi jis ki mujhe talash hai


Na huaa kabhi kuch hasil mujhe guzara huaa ek saal hun
Aye zindagi tujhe kya kahu main khud hi ek sawal hun
Lashkar hun jo shikasht hun, sukhi huyi ek darakht hun
Baqee hai jo wo khawab hun dhundhla sa ek khyal hun
Dhalti huyi wo shaam hun bujhti huyi wo charagh hun
Ek dard jo na guzar saka muflisi ka wo ek malal hun
Woh chaman hun jo ujad gaya jahan bahar ab aati nahi
Murjhaya saa ek phool hun aur sukhi usi ki ek daal hun
Lahron ki wo sahil hun main jahan lahrein bhi aati nahi
Taalab wo nadi hun main aur samandar ka ek mishal hun
Na huaa kabhi hasil mujhe guzara huaa ek saal hun
Aye zindagi tujhe kya kahu main khud hi ek sawal hun


KOSHISHEIN LAKH KI MAINE BHI DIL LAGANE KI
BA KHUDA NIKLE THE US GHAR SE BE AABRU HO KAR
KIS QADAR DIL KO SAMBHALA KOI MUJHSE PUCHHE
AAJ BHI QISSA BAYAN KARTA HUN SIRF RO-RO KAR
MAIN ZINDA HUN YE EHSAS BHI NA HOGA UNKO
NIKALA GAYA HUN MAR KE APNE GHAR SE HI THODAR
JINE KI CHAHAT NA THI PAR GHAM BHI GAWARA NA THA
HAR TARAF MUSHKILEIN THI KOI APNA SAHARA NA THA
WAQT NE IS QADAR US GAM KO BHI BHULA DIYA
JAB MAIN JITA THA HAR ROZ SIRF GHUT GHUT KAR
MERI TANHAI MERI HAQIQAT KO BAYAN KARTI HAIN
AAJ BHI AANKHEIN MUSKURATI HAIN TO BAS NAM HO KAR
KOSHISHEIN LAKH KI MAINE BHI DIL LAGANE KI
BA KHUDA NIKLE THE US GHAR SE BE AABRU HOKAR



JINDGI KA AJAB DASTUUR DEKHA,
JISSE CHAHA USSE MAJBOOR DEKHA,
DIL KE EK CHHOTE SE JAKHAM KO,
HAMNE BANTE HUYE NAASUR DEKHA,
WAFA KARNA HI MERA KASUR THA,
BEWAFA KO HAMNE BEKASUR DEKHA,
GUMNAMI MEN GUZRI JINDGI APNI,
USS PAR SHOHRAT KA SAROOR DEKHA.

Tanha raat hai aur tanha safar bhi hai
khamosh tum bhi hoo,khamosh hum bhi hain
tumhain panay ki arzoo main....
aklay Tum bhi hoo,akalay hum bhi hain
neendoon kay safar par janay say....
la taluq tum bhi hoo,la taluq hum bhi hain
is bhari duniya say...........
be zar tum bhi hoo,be zar hum bhi hain
un lafzoon ko samjnay ko.........
be karar tum bhi hoo,be karar hum bhi hain
mohbbat ka "RUKH" mornay main.....
ba kamal tum bhi hoo,ba kamal hum bhi hain



Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Banker
Hum Say Her shaam Mili Hai Tera Chehra Banker
Chand Nikla Hai Teri Aankh K Ansoo Ki Tarah
Phool Mehkay Hain Teri Zulf Ka Saya Banker
Meri Jaagi Huyi Raaton Ko Usi Ki Hai Talash
So Raha Hai Meri Ankhon Main Jo Sapna Banker
Dil Kay Kaghaz Par Utarta Hai Jo Sheron Ki Tarah
Meray Hontoon Pay Machalta Hai Jo Naghma Banker
Raat Bhi aaye To Bujhti Nahin Chehray Ki Chamak
Rouh Main Phail Gaya Hai Woh Ujala Banker
Mera Kya Haal Hai Yeh Aakay Kabhi dekh To Lay
Jee Raha Hoon Tera Bhoola Hoa Vada Banker
Dhoup Main Kho Gaya Woh Haath Chhura Kar
Ghar Say Jo Saath Chala Tha Mera Saya Banker
Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Banker
Hum Say Her Shaam Mili Hai Tera Chehra Banker


Kuch Meethay Lamhay Mangay Thay
Kuch Sard Hawain Mangi Theen
Hum Ne Tu Zamanay Walon Say
Do Chaar Wafain Mangi Theen
Barsaat Ke Har Ek Badal Nay
Jee Bhar ke Hum Ko Tarsaya
Hum Bheeg Sakain Yeh Socha Tha
Aur Kali Ghatain Mangi Theen
Nakam Huay jo Ulfat Mein
Majboor Huay jo Milnay Se
Kuch Un ke liye Kuch Apnay Liye
Num Nay Bhi DUAIN mangi Theen.



Gamon Ko Mujhse Ek Chahat Si Ho Gayi Hai,
Main Udaas Nahi, Udaas Rehne Ki Aadat Si Ho Gayi Hai,
Ye Kaisa Wakt Aaya Hai Ke Subah Bhi So Gayi Hai,
Kudrat Se Shayad Roshni Hi Kho Gayi Hai,
Jane Kyon Wo Mujhse Ajnabi Sa Ho Gaya Hai,
Lagta Hai Aisa Ke Phoolon Se K
hushbu Hi Kho Gayi Hai,
Ye Kaisi Hawa Mere Jism Ko Chhu Gayi Hai,
Ukhdi Ukhdi Saans Bhi Be-Rubt Ho Gayi Hai,
Kyon Zindagi Ki Raat Itni Taweel Ho Gayi Hai,
Mujhse Shayad Dosti Ki Bhool Ho Gayi Hai,
Ab To Duniya Bahut Khush Ho Gayi Hai,
Saans To Chal Rahi Hai Lekin Rooh Saath Chhod Gayi Hai…


Bas ye hi gila hai zindagi se
Humein kya mila hai zindagi se
Gamo ki aandhi hai dukh ke saaye hain
Sitam jaane kya kya humne uthaye hain
Bas ye hi gila hai zindagi se
Humein kya mila hai zindagi se
Andhere hi andhere hain roshni nahi hai
Sabko chaand mila mujhe chaandni nahi hai
Bas ye hi gila hai zindagi se
Humein kya mila hai zindagi se
Sabke sangi saathi hain
sab khushi se ji rahein hain
Zehar ye judaai wala
bas hum hi pi rahein hain
Bas ye hi gila hai zindagi se
Humein kya mila hai zindagi se
Har koi has raha
meri aankhoon mein hi paani hai
Meri barbaadiyoon ki
ye jaise koi nishani hai
Bas ye hi gila hai zindagi se
Humein kya mila hai zindagi se